Zindagi ki kitab ke ,pichle panne jab khul jaate hain,
Vo beete hue pal hame tab yaad aate hain!!!!!!!!
Yaad aate hain tab zulfon ke vo reshmi saaye,
Vo sukomal saundarya,vo alhad adaaye,
Aur un adao pe hota nichavar vo mera pavitra pyar,
Tan ki unmukt pyas nhe jisne aatma pe bus chaha adhikaar,
Tere khayalo ke narm sooraj jab vart- chitiz choo jate hain,
Vo beete hue pal hame tab yaad aate hai!!!!!!
Vartman se apne ulajhte,jab baithte hain akhir thak haar,
Kar band nayan - kapat kshan bhar .jab khulte antarman ke dwaar,
Jab teri vo ujali soorat bulati hai mujhe baahein pasaar,
Tab umad umad ke aate hai vo chupe bhavnaao ke jwaar,
Man chandan pe jab teri yado ke sarp lipat jate hain
Vo beete hue pal hame tab yaad aate hai!!!!!!
Bhavano ke jwaar pe jaise sahsa viram sa lag jaata hai
Swapn sagar se nikal man fir dharaatal pe aajaata hai
Bujhe man se bujha dete hu tere khyalo ke vo angaar
Nav sfoorti se ho uthta hu fir joojhane ko taiyaar.
Hriday parvat se jab tere ehsaso ke badal takra jate hain,
Vo beete hue pal hame tab yaad aate hain!!!!!!!!!!!!!